Internet ki mukhtalif fields – Apko konsi field may kaam krna chahye?

Internet ki mukhtalif fields
Apko konsi field may kaam krna chahye?

Apko aik aisi field chahye, jis may ap next 10 years kaam kr sakty hain.

Apko daily kaam krna ho ga.

Aisi field jis may ap sharum mehsoos na kary.

Aisi field jo apko sharminda na kray.

Jo ap fakhar sy logon ko bata saky.

Field koi bhi buri nai.

Har field may app theek thaak paisa kama sakty ho.

Ap ny aisi nai krna k aj aik field kal dosri field.

Teen qisam k log hoty hain.

Aik vo jis ko har new cheez achi lagti hy. Kuch din shooq sy kaam kry ga. Phr choor day ga.

Dosra wo jo paglkn ki tarh din raat kaam may magan rehta hy.

Shuru may. Lakin phr pata nai usko kiya ho jata hy.

Uska dil totta hy. Aor sb kuch chor char diyta hy.

 

Log kehty hain. Ye agr iss speed sy chaly ga. Tou pata nai kiya kr day ga.

Tesra wo insan hy. Tou mehnat krta hy. Aor phr aik aisa time bhi ata hy. K usko apni mehnat sila milnay lagta hy.

Lakin jaisy he usko ghora bht paisa any lagta hy. Wo soochta hy. Itna kafi hy mery leye bs.

Phr wo mazeed progress aor learning nai krta.

Lakin apko marty dum tak progress krni hy.

Logo design kiya hy?
Zyada log shuru may yahi start krty hain.
Pata kiyon logon ko ye bht asan lagta hy. Jo bhi new bunda app dhekho gay. Wo logo design may ghussa ho ga.

Agr acha aor professional kaam krna hy. Tou illustrstor sekhn ho ga.

Color selection bht important hy.

Logo presentation bhi important hy.

Canva aor online tools, mobile apps nai chalain gay.

Agr apko logo designing aa gsi hy. Touh phr apni site banao aor uss py logos dalo.

Agr kisi ko pasand aye. Koi logo. Tou apni site k leye usd kary.

Freelancing sites py khowar hony sy ye kaam bhtr hy.

Package design kiya hy?
Chips, paapur, biscuit, tv, mobile, medicine ki packages ko design krna parta hy.
Illustrator ya coreldraw may ap design karo gay.

Ecommerce store kiya hy?
Online shop k leye istemal hota hy.
Ap online products ki listing krty ho.
Ap apny sary products ki pictures apny online store par daltay ho.
Store ap wordpress ya shopify may bana skty ho. Iss k elava aor bhi tareqay hain.

Html template ko kaisy sale krty hain?
Html aor bootstrap pr apko kam krna agr aa gaya hy. Tou ap apni theme banas na start karo. Ap themes banao. Agr kisi ko chahye. Wo free may download kry ga.
Apko ads sy earning ho gi. Apko theme customization sy earning ho gi. Ap paid theme ka section bhi dal sakty ho. Log jb html seekh laytay hain. Tou phr job ki talash may khowar hoty hain. Ye bhi azma kf dheekh lo. Kafi nafa ho ga. Iss tarh ap hr wordpress k themes ki galary bhi bana sas kty ho.

Google adsence kiya hy?
Apni website sy earing k kafi tareqy hain. Apni product sale karo. Services sale karo.
Ap google ya kisi aor company k ads bhi laga sakty ho.

Crypto trading kiya hy?
Ap crypto ko buy kr k hold kr sakty ho.

Forex trading kiya hy?
Ap different currency may trade krty ho.
Ap dollar, pond, gold, crude oil may trade krty ho. Ye bht risjh kaam hy. Lagta tou bht asan hy. Agr app k pas sarmaya aor tajroba nai hy. Tou iss kaam sy door raho.

Flutter kiya hy?
Iss sy ap mobile, web aor desktop application bana sakty ho.
Bht mazy ki cheez hy. Dart language may kaam krna parta hy. Boring bhi nai hy. App mobile app bana sakty ho. Aor phr google play store pr dal sakty ho.

Pyqt kiya hy?
Ye python ki library hy. Iss may ap GUI application banaty ho. GUI ka mtlb hy k uss may apko button, textbox , etc hon gay. Mtlb k kuch apps command line py kaam krty hy. Jo k kafi boring hy. Aor aik aam insan k leye asan nai hy.

Tkinter kiya hy?
Ye bhi pyqt ki tarh hy. Iss may ap usef interface bana sakty ho. Button, listview, input fields, widgets,

Fyne kiya hy?
Ye golang ka GUI library hy. Iss sy app different software bana sakty ho.

Facebook ads promotion?
Facebook ads k zary app apni services sale krty ho. Apka hotel hy ya koi shop hy. Tou apni products apni city k elva dunya bhr may sale ke sakty ho.

Media.net kiya hy?
Ye bhi ads serving platform hy yahoo ka.

Vectorization kiya hy?
Ap old ya purany design ko high quality may covert krty ho.

Business card design kiya hy?
Logon ko apny business k leye visiting chahye hoty hain. Jis py unka mobile njmber, address aor timing likhi hoti hy.
Ye app ny banany hon gay.

Seo kiya hy?
Search engine optimization.
Ye bht mazy ki field hy. Ap apni webiste ya blog rank krna hy. Google py first page may lay kr ana hy.
Iss tarh app youtube , playstore aor kindle ya amazon may bhj apko iski zarorat hoti hy.

WordPress , joomla aor drupal , laravel kiya hy?
Ye aik content management system hy. Apka blog ya website. Iss may apko coding ki zarorat nai hy. App bs sirf apna content dalo. Ap ny ye kaam ya service apny client ko diyny hy.
Iss may aj kal elementor kafi mashahoor hy. Ye plugin apki zindagi asan kr das y ga.

Laravel aor php ?
Php aik scripting language hy. Asan alfaz may programming language hy. Facebook aor wordpress php may bana hy. Ap php ko use kr k koi bhi software bana sakty ho. Youtube, netflix, google ki tarh ki website ya koi ecommerce store.

Golang kiya hy?
Ye google apni language banai hy. Iska short form go hy. Ye c++ ki tarh ki language hy. C++ may jo maslay thy. Wo iss language may khatum kr diye hain. Ye kafi fast hy.

Rust kiya hy?
Ye bhi new programming language hy. Ye go, aor c++ ki tarh hy. Kafi fast hy.

Javascript kiya hy?
Javascript ka aj kal bht demand hy. Ye pehly sirf browser may istemal hoti thi. Lakin ab isko backend may bhi use kr sakty ho. Ye normally webpage ko dynamic banany k leye istemal hoti hy.

Django kiya hy?
Ye python ka framework hy. Iss may app custom websites sor apps banas sakty ho. Bari bari company idko istemal krti hain. Ye 22 saal purana frsmework hy. Bht secure aor stable hy. Koi bhi framework itny lambag arsay tak nai tikta.

Python kiya hy?
Python aik programming language hy. Isko ap har jaga istemal kr sakty ho. Webdevelopment, desktop apps, machine learning aor data science may tou bht he zyada istemal hy.
Ye sekhny may kafi asan hy.

Api kiya hy?
Aplication programming interface.
Iska istemal kahan hota hy. Agr hamarh pas 3 types k apps hain. Web, desktop aor mobile. Inn sb ka database same rahy ga. Inko apis may jornth k leye API istemal hoti hy.

Nodejs kiya hy?
Ye javascipt ko backend may use krny ka aik zarya hy. Nodejs may ap server bana sakty ho. Pehly javascript ka istemal sirf front end may hota tha. Nodejs sy ap backend py bhi javscript use krny k qabil ho gaye.

Animation kiya hy?
Whiteboard animation, adobe animate, adobe after effects wagira k zaryay hum animated vidoes banatay hain. isko ap promotion k leye bhi use kr sakty hain. aor baqi kaam bhi lay skaty hain. 2d aor 3d animation k kafi software hain market main.

Voice over kiya hy?

kuch logon ko apki voice chahye hoti hy. apni videos k leye. jo vo promotion k leye banatay hain. iskay elava youtube ki videos k leye. ya koi book ko audio book may convert krny k leye.

Content creation kiya hy?

meri nazar may ye sb top skill hy. agr app ny ye skill seekh li. tou ap marny k bad bhi zinda raho gay. content creation ka mtlb hy. content create krna. content create krna har kisi ky bs ki baat nai hy. isky leye kafi study ki zarorat hy. lakin achi baat ye hay. k thori bht study kr k ap bhi iss kam ko shuru kr sakty hain. aor ap youtube aor website k leye content bana sakty hain.

Video editing kiya hy?

Video shot krny k bad , video ko edit krna parta hy. har koi video ko edit nai kr sakta. ye aik skill hy. isky kafi free aor paid softwares hain. isky leye apko aik achy computer ki bhi zarorat hy. agr apka computer acha nai tou apko kafi time lagay ga.

Camtasia kiya hy?

ye aik video editing software hy. iski madad sy hum apni videos ko edit kr sakty hain. aor screen ko bhi capture(record) kr sakty hain. ye istemal may kafi asan hy. lakin bht he powerful tool hy. is may app 2 , 3 videos ko cut kr sakty hain. apis may jor sakty hain. videos may sy koi cheez blur ya remove kr sakty hain.

Filmora kiya hy?

ye camtasia sy bhi zyada asan software hy. ye bhi video editing k leye use hota hy. ye istemal may kafi asan hy. iss may apko kafi templates bhi mil jain gay. jis sy apka kaam mazeed asan ho jaye ga.

Content writing kiya hy?

ap ko agr likhna ata hy. tou ap urdu ya english ya kisi bhi dosri zuban may apni baat likh kr pohoncha skaty ho. likhna aik art hy. jo k koi bhi seekh sakta hy. bs thori bht likhny ki practice aor mashaq karain. Rozana thora bht likha karain. ap ny kisi jaga ka visit kiya. ya school , college ki koi purni yad ai. tou app usko likho. ye hova ap phr social media pr bhi dal sakty ho. blog ya website pr bhi aor youtube pr video bhi bana sakty ho.

Blog kiya hy?

apki apni personal website. jo k post par mushtalmil ho gi. blog may ap aik ya aik zyada topics pr likh skaty ho. ap koi bhi topic lain. aor phr likhna shuru karain. koi bhi sakhs blog start kar sakta hy. blog ko ap wordpress ya blogger par easily bana sakty ho. wordpress k blog par apky $20 dollar tak kharcha aye ga.

Translation job kiya hy?

apko agr aik zyada zubano par uboor hasil hy. tou phr apkay ko mazeed kuch seekhny ki zarorat nai hy. ap translator bun sakty ho. ap translation ka kaam kr  sakty. ap ko agr urdu aor english zuban ati hy. tou ap urud to english may translate krny ki service dain. aor english ko urdu may translate krny ki service dain.

Online scams kiya hy?

jaisay k zindagi may mukhtalif log apko dhoka ditay hain. uss tarah online field may bhi kafi saray dhoky baz hoty hain. unka kaam dhoka diyna hota hy. apko fazool products sell karain gay. jo k kisi kaam ki nai hoti. koi fazool service join krny k bolain gay. jo k kisi k faiday ki nai ho gi. sirf unki jeeb bhary gi.

Ppc sites kiya hy?

ye clicking sites hoti hain. lakin ye sirf dhoka hy. ap ny clicks krny hotay hain. ishteharat dhekhnay hoty hain. kuch time k bad ye sites bhag jati hain. ye ap sy start may registeration fees lay gi. phr monthly apko kuch na kuch pay karay gi. inka karobar iss tarah chalta hy. k jitny zyada log ain gay. utna apka kaam chalay ga.

MLM sites kiya hy?

ye multi level marketing hy. is may ap ny apny sath logon ko jorna hota hy. mukhtalif log apko join krty hain. left leg aor right leg. phr jitny zyada log apky through , refral sy join hon gay. unka paisa apko milta rahy ga.

Crypto scam kiya hy?

logn ny har haal may dhoka diyna hota hy. jb koi new technology ati hy. scammer logon k plans market may aa jatay hain. ye log apni fake currency market may latay hain. jo sirf naam ki crypto currency hoti hy. jhoti currency ki pehchan ye hy k ap uski mining nai kr sakty hain.

Clicking jobs kiya hy?

is may ap ny mukhtalif ishteharat par click krna hota hy.

Advertisment ya ishteharat par click kfna kiya hy?

ye aik scam jobs hain. iss sy door rahin tou zyada bhtr hy. iss may ap ny ishteharat dhekny hotay hain.

Kindle book publishing kiya hy?

ye aik bht he mazy ka kaam hy. ap ny kitab likhni ho gi. aor app usko online publish kr sakty ho. online kindle ki aj kal bht demand hy. apko kitab print krny ki zarorat nai hy. sirf uska digital version publish karain.

Filmora kiya hy?

video editing software hy. video ko record aor edit kr sakty ho. effects dal sakty ho. intro outro bana sakty ho. facebook ads videos , instagram video ya koi bhi platform k leye videos app bana sakty ho.

Premier pro kiya hy?

ye adobe ka video editing software hy. jo k sirf professional use krty hain. ye itna mushkil nai. jitna log iska naam sun kr dar jatay hain. agr ap ny professional kaam krna hy. tou phr premier pro best hy.

Illustrator kiya hy?

ye bht he mazay ka software hy. iski madad sy ap graphics ka tamam kam kr sakty ho. apko print ka kaam is may krna chahye. agar koi coreldraw istemal krta hy. tou ap illustrator may kaam krny k expert ho. tou ap design illustrator may banao. phr usko eps file may bhejo. jo k coreldraw may ba asani kaam kray gi.

Photoshop kiya hy?

ye aik pixel based software hy. iss may ap pictures ko edit kr sakty ho. background remove kr sakty ho. new background laga skaty ho. iss tarah k jitny bhi kaam hy. jisay k 2 , 3 pictures ko jorna. ya cut krna. ye sb ap kr skaty ho. lighing ko kum ya zyada kr sakty ho.

Banner design kiya hy?

humay online aor internet par aksar okat banners aor posters ki zarorat hoti hy. ap photoshop aor illustrator ki madad sy bana sakty ho.

Creatives kiya hy facebook k tana’zur may?

Facebook k attractive images ki need hoti hy. jin ko creatives kaha jata hy. log apky ads ki taraf zyada mutavaje hotay hain.

Facebook ads kiya hy?

ap ny apny business ko improve krna hy. zyada sale krni hy. tou ap facebook par sales kr sakty hain. facebook par ads laganay sy. ap poray mulk may apni marketing kr sakty ho. ap koi bhi product sale kar sakty ho. agr apky pas apni koi product nai hy. tou ap kisi bhi dukan sy picture lay kr. facebook par dal skaty ho.

Fiber framework kiya cheez hy?

Golang google ki aik new programming language hy. new kehna tou na insafi ho gi. kiyon k 15 sy 18 sal tou ho gaye hain. lakin phr bhi hamary leye new hy. jin logon ny school college may c++ aor java parhi hy.

tou fiber golang ka aik framework hy. jo k kafi famous hy. aor Nodejs k express ki trah hy. framwork apka kaam asan kr diyta hy.

Bitcoin aor blockchain kiya hy?

Bitcoin aor blockchain may kiya difference hy. Blockchain aik technology hy. jis ki madad sy decentralize app banaye ja sakty hain. decentralize mtlb k jo kisi k control may na ho. koi usko manipulate na kr saky. Bitcoin application blockchain ki.

blockchain py ap human identity system bana skty ho. voting system bana skty ho. jo k koi bhi hack nai kr paye ga.

Draz kiya hy?

Daraz aik pakistan online mega store hy y ecommerce website hy. Daraz py apka aik store apko kafi earning day skata hy. daraz may ap apni products ki listing karain. apko sari products purchase krny ki zarorat nai hy. ap bs 2, 3 products apny pas rakho aor phr mazy karo. slow slow ap apni inventory barhaty jao.

Amazon affiliate kiya hy?

Amazon dunya ki sb sy bari ecommerce store hy. ye aik american company ka store hy. jo k pori dunya may pehla hova hy. amazon py apni products bhi sale kr sakty ho. aor affiliae ka kaam bhi kr sakty ho. amazon affilaite may kiya hota hy? apko dosray logon ki products promote krni hoti hy. ap ny products k reviews likhny hain.  products ki pros and cons batni hain. aor phr baqi kaam buyers ka hy. log apki site sy amazon par jain gay. tou amazon apko commission day ga.

ap ny kisi product ki galat tareef ya tanqeed nai krni. logon ka ap par sy itemad uth jaye ga. logon ki nazar may apki jo value hy. vo khatam ho jaye gi.

Udemy kiya hy?

ye aik online learning platform ya website hy. iss may apko harzon nai balky lakhon courses mil jain gay. ap ny koi bhi cheez seekni ho. koi new skill ya koi bhi software. uska course apko yahan mil jaye ga. log free courses bhi dalty hain aor paid bhi.

Gingonic kiya hy?

ye golang ka aik framework hy web k leye. isko app website aor web apps bananay k leye istemal kr sakty ho.

Che framework kiya hy?

ye bhi golang ka aik web framework hy. ye framework zyada traffic ko ba asani handle kar sakta hy.

Java ,hibernate kiya hy?

java aik bht he purani language hy. ye cross platform hy. har aik system jaisay k linux, windows and mac par chal jaye gi. hibernate iska web framework hy.

Conclusion

apko online kaam krny k leye koi na koi skill sekhni ho gi. 2 mahinay ki practice kr k ap koi bhi skill seekh sakty ho. ap 2 months lagatar practice krni ho gi. 2 months videos dhekhny sy kuch nai ho ga.

Without skill ap ko apna app khali khali sa mehsoos ho ga. skill ap koi bhi choose kr sakty ho. lakin skill aik bar select kr liya. tou app usko phr change nai kr sakty. agr skill ko aik bar change kr liya. tou phr zindagi bhr ap yahi krty raho gay.

Tony BB
 

TonyBB is a Coach , marketer, hypnotist and a founder of RSKVF Production who specializes in providing simple, affordable, and easy to use solutions for Life.

Click Here to Leave a Comment Below 0 comments

Leave a Reply: