Zong value added service Scam in pakistan – Game Heaven
May ny zong Game Heaven Serivce ko 2 , 3 bar unsubscribe kiya. lakin phr auto active(subscribe) ho jata hy. mera number areoplane mode py hota hy. jb ghar sy bahr jata hon. tou aeroplane mode sy hata dayta hon.
Lakin zong valay baz nahi atay. may PTA ko bhi complain ki hy. lakin PTA ny bhi koi action nahi liya.
Zong Game Heaven Experiment
May ny aik exerpiement karny ka socha. Game heaven k sms ko block kr diya. k OTP usko na milay. aor uss k bad may zong game heaven k number ko bhi block kr diya. lakin aik mujhe message mila. k your balance is less than Rs.15.
Ye kiya mazaq hy. masla ye hy k sb milay hovay hain. Customer support sy baat ki. unho ny remove kiya. phr auto activate hova. ye kiya mazaq hy. agr may games khelta he nahi hon. na he may zong ki application open krta hon. phr ye package auto activae kaisay hova?
Ap log mera sath do iss mamlay ko agay. lay kr jatay hain. ye iss tarah nahi samjhain gay. in ka koi ilaj karna paray ga.
Agr kisi ko Game Heaven ka nahi pata. tou ye zong ka aik value added service hy. in simple words logon ka balance tugnay ka. Scam karnay ka aik Modern tareqa hy.
Agr kisi ko Zong ka nahi pata. tou ye aik chinese mobile serivce hy. jo k pakistan may kaam karti hy. sb sy ghatya service hy. Lakin majbori ka naam shukriya.
Balance may ny emergency k leye rakha hota hy. Call karni hoti hy. lakin in ko samjh he nahi ati.
Final Solution: Bad Reviews
Ap sb log ja kar google play aor playstore par inko reviews do. agar apky sath scam hova hy. aor sb logon ko inform karo, jin k sath daily basis par ye scam hota rehta hy.
NIC JOKE
Jb customer service sy baat karo. tou bht professional honay ka drama krty hain. sb sy pehlay tou unko NIC chahye hota hy. Abay zalim jb SCAM kr rahay thay. Uss time py NIC ki zarorat nahi thi apko? Package jb tum ny auto activate kiya. uss time py , tumhay NIC ki zarorat thi? Uss time py tum ny protocol follow kiya? Us time py OTP ka pocha? Daily jb package activate hova. tou kiyon hova? Agr kisi ko game heaven use krna hy. tou khud activate kr lay ga.
Mujhe tou aj tak pata he nahi hy. k game heaven hoti kiya hy. ye kis type ki game hy. agr kisi ny game khelni hy. tou khud auto acticate kr lay. Daily subscribe krny kiya zarorat hy?
Technical side ko samjhte hain
Theek hai, chaliye ab technical side ko samjhte hain. Jab aap mobile package activate karte hain, tou kuch specific steps aur processes hotay hain jo logs main record hote hain. Ye logs network ki troubleshooting aur analysis mein madadgar hote hain. Process kuch is tarah se hota hai:
- User Request:
- Jab user package activation ka request deta hai (via USSD code, SMS, app, etc.), ye request network ke servers tak pohanchti hai.
- Request ki har step ka log record hota hai, including user ID, requested service, aur request time.
- Authentication & Authorization:
- Network user ko authenticate karta hai (verify karta hai ki user ka account sahi hai aur authorized hai).
- Authentication aur authorization ke steps ke bhi logs maintain hotay hain, like user ID verification, balance check, etc.
- Service Activation:
- Jab user authenticate ho jata hai, system package activate karta hai aur services allocate kar deta hai.
- Is process mein bhi logs record hote hain, jisme services ka activation time aur status mention hota hai.
- Billing System:
- Package activation ke baad billing system ko notify kiya jata hai taake required charges deduct ho sakein.
- Billing ke steps aur user ke balance main jo changes hotay hain unke bhi logs record hote hain.
- Acknowledgment & Response:
- Jab package successfully activate ho jata hai, user ko acknowledge ya confirmation message send kiya jata hai.
- Acknowledgment ka step aur message ke bhi logs maintain hotay hain.
Yeh logs key details aur timestamps maintain karte hain, ye protocol hy, jo future mein kisi bhi issue ko troubleshoot karne mein bohot madadgar hotay hain.
Final Thoughts:
Mera maqsad kisi ko hurt karna nahi hy. Lakin in scammers ka koi ilaj hona chahye. Agr Zong mujhe logs key details aur timestamps provide kr day. Tou may ye post remove kr don ga.
Last Time Scam proof:

Zong game heaven SCAM PROOF

Zong game heaven SCAM PROOF

Zong game heaven SCAM PROOF
This is not the only SCAM. iss tarah kafi baar ho chuka hy. may kehta hon. ab Rs.100 k leye kiya larna hy. khud he unsub kr layta hon. par ab bhut ho gaya.
Behavior OF PTA:
Agr Ap PTA ko complain karo gay. tou PTA complain to zong ki taraf forward kr day ga. Ye kiya mazaq hy? Pehlay inko warning do. Agr phr bhi samjh na aye. phr. Inky khilaf Action lo.